Hindi Miss You Sms
Hum to sirf aapki baat kiya karte hain, har dhadkan pe aapka naam liya karte hain, aap ho hume apni jaan se bhi pyare, tabhi to waqt bewaqt yaad kiya karte hain…
Tumse doori ka ehsaas jab satane laga, Tere saath guzra har lamha yaad aane laga, Jab bhi tumhe bhulne ki koshish ki, Ae dost tu dil ke aur paas aane laga.
Subha ko yaad aayi to miss kiya, dopahar ko yaad aayi to bahut miss kiya, sham ko bhi yaad aayi aur heart ne attack kiya, aur apun ne fauran sms kiya.
Barsaat aaye aur zameen geeli na ho, Dhoop nikley aur sarson peeli na ho, Ye aap ne kaese soch liya ke, Aap ki yaad aaye aur aap ke mobile per, Hamara sms na ho.
Sham hote hi ye dil udas hota hai, Tute khwabon k siwa kuch na pas hota hai, teri yad aise me boht aati hai , chand jb apne sitaron k pas hota hai.!
Sab Ki Khushi Ki chah Karte Hain, Bas Hum Itna Sa Gunah Karte Hain, Aaj Phir Aap K Sms K Intezar Mein Bethe Hain, Dekhna hai Kab Aap Hamein “YAAD” Karte Hain…
Mujhy yaad aa kar itna be-chain na kro…! Bs ik ye hi sitam kaafi hai k sath nahi ho tum…!
Wese to ap k saray he kam oltay hotay hain, bas ek mobile hi hai jo ap sedha pakarte hain. Aj zara is mobile ko bhi olta pakrain or ye parhain... 6u!l!ws d33>l ... n ss!w I
I see u ankhon se, I feel u sanson se, I remember u chahat se, I beleive u jan se, I care 4 u dil se & I MISS YOU Qasam se….
Door hi sahi, kinara to hai, timtimata hi sahi, sitara to hai.. Hojati hai tumhari yaad se hi tasalli¢â‚¬Â¦ tinka hi sahi.. Sahara to hai..
Itna jaldi daaman chhod diya, Itna jaldi vaada tod diya, Abhi to zindagi ke sansein hai baaki, Aur aapne abhi se yaad karna chhod diya..
Har pathar pe likhu I MISS U, aur wo har pathar aapko maru, taki aapko ye ehsaas to ho, ke aapki yaad kitna dard deti hai..
Aapki yaad aaye to dil kya kare, yaad dil se na jaye to dil kya kare, socha tha sapno mein mulaqat hogi, magar neend hi na aaye to hum kya karen..
Dur hote huye bhi Dosti ka Rishta nibhate hai aap, Na jane kyun Dil ko lubhate hai aap, Yeh kaisa karishma hai aap ka, Jo hum ko itna yaad aate hai aap…
Is sham ki tanhai se, Dard ki gehrai se, Ye dil kuchh baat kar raha hai, Zara samjho in fizaon ki chubhan ko, Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai
Hakikat na puchh mere fasane ki, Tere jate hi badal gayi hai nazar zamane ki, Log puchhte hain main khush nahi, Kya karun meri to aadat thi, Tere sang muskurane ki.
Pani ka 1 katra aankh se gira abhi, Kya tumne mujhko yaad kiya abhi, Tujhse mile zamana hua magar, yun laga koi mujhse mil k gaya abhi
Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti hai, Chand paas ho na ho, Chandini aaspas rehti hai, Waise hi aap pas ho na ho, aapki Yaadein hamesha paas rehti hai!
Aap paas raho ya dur, Dil se dil ki aawaz mila sakte hain hum. Na khat ke na telephone ke mohtaz hain, Sirf ek hichki se aapke dil ko hila sakte hain hum…
Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai, Pyaas bujhti nahin barsat guzar jaati hai. Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare, Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai.